Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Ghaus e azam (n) mushkil kusha aap ho
Mujh gunahgaar ke peshva aap ho
ghulamo pe apne nigahe rahem kijiye
Sadqa Baba Hasan ka ata kijiye
Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Jiska hamsar nahi zaat vo aap ho
Yani har auliya ki jaan aap ho
Ibn e zehra ho or aulaad e Ali
Tere zair e qadam he(n) saare wali
Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Leke kasaa tere dar pe Jo agaye
Rehamte(n) haq samjho vo pagaye
Kyu buland na ho sikka tere naam ka
Haq diya tujhko qudrat ne ailaan ka
Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Kyu na ho qadir maula k Abdul qadir ho tum
Mukhtaat gharaane ke waris ho tum
Har wali rakhte he(n) ehteraam aapka
Vilayat Bil yaqeen sadqa he aapka
Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Jab ghamo ke badaal ghane chaa Gaye
Jaha(n) jisdam pukaraa wahi(n) agaye
Phasi kashti bhawar se ab nikaaliye
Jo bala hum par he(n) vo bala taalye
Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Noor e yazdaan madade sayyedo sultaan madade
Shah e shaha madade murshid e pakaa madade
Ye waqt e madad e madad ki kijiye shaha
Apni panah me mujhe le lijiye shaha
Tasavvur me Teri chokhat pe jabee(n) apni jhukaai he
Muzammil ko jab kabhi Teri yaad aayi he
Shah e Baghdad Ki Shaan Marhaba Marhaba
Labels: Manqabat
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment