Likhu(n) Kya Me Qalam Se Apne Shaan e Marehra

Likhu(n) kya me qalam se apne shaan e marehra 
Baya(n) Ahmad raza karte the andaaz e marehra


Raza ke naam ka sikka jaha me yu nahi chalta 
Miya(n) noori miya se....hi  piya he jam e marehra


Miya(n) ashraf,  raza ho ya ho phir mufti e azam  
Shah e barkaat k hatho mila faizan e marehra

K bul qasim ki shaadi me shah e baghdaad aate he 
Zara dekho bana baghdaad hind ka marehra


Shaha hamza ki dharti pr tapakta noor h hardam 
Sajaya he nabi ki aal ne kis tarah marehra


He(n) Jo Haider Hasan ke chand  ameen ,ashraf najeeb afzal 
Yahi he dor e  hazir me minaar e marehra


Tajdaar e sunnuyat he or wali abn e wali 
Ameen e ba safa is waqt me he shaan e marehra


Muzammil ghamzada na ho....... mehshar ko tum lekar
Tumhare hath  he buzurgaane marehra

0 comments:

Newer Post Older Post Home