Sar Zameen e Paak e Marehra Bani Jannat Hai Aaj


Sar zameen e paak e marehra bani jannat he aaj
Aaj aulaad e nabi dulha bane he sayyidi noori miya(n)

Hazrat e maa Fatima ki kyu na ho tum par nazar
Waris e panjatan he sayyidi noori miya(n)

Shah e jilaa(n) ki nagaho me bade maqbool he
Hum sabhi ke peshwa sayyidi noori miya(n)

Kwaja e ajmer se bhi he bahut kuch mil raha
Kam nahi he chishti rang me sayyadi noori miya (n)

Bil yaqeen Shah barkatullah ka ye Sara faiz he
Qaher harwaqt najdiyat pe sayyidi noori miya(n)

Maslak e Ahmad Raza ka  kyu na roshan ho chiragh
Jab nigebaa(n) he raza ke sayyidi noori miya(n)

Mufti e azam bhi noori kyu na ho aakhir bhala
Jab banayaa  aapne ho sayyidi noori miya(n)

Darya e karam josh par he aaj mangto maanglo
He(n) meherbaa(n) har gada par sayyidi noori miya(n)

Is "muzammil" pe nigahe daalkar chamkadiye
Na khuda ho aap mere sayyidi noori miya(n)

0 comments:

Newer Post Older Post Home