Chalo Ashiqo Chale’n , vo Din bhi Agaya Aal - e - Nabi o Murtaza ka “URS Agaya”Haq ke jalvo ka hai’n Paiker Hazrat E Qasim Miya’n Aaina -e- Mustafa ka “URS Agaya”

Mutahar Jinke Jalvo se hai Sar Zameen E Marehra Janab E Hazrat E QASIM Miya’n ka “URS Agaya”Salaami ko hai’n Hazir, Qudsiya Rauze pe aapke Gulshan E Zehra ke Gul ka “URS Agaya”

Shah E Jila’n ke Dast e Paak Se piroye gaye hai’n phool Saja hai kis tarha’n Sehra ke Dekho “URS Agaya”Moattar hai’n Fizaaye aaj Marehra ki Galiyo’n ki Boo e Chishtiyat hai Chaar soo “URS Agaya”

Shah E Barakaat padte hai’n ye Sehra aap ka Syed Raunaq E Brakatiyat ka “URS Agaya”Hai Jaari Dast e Qasim se Jaha’n me Faiz ka Darya Minaar E Qasr E Ilm e Marifat ka “URS Agaya”

Mai Tauheed ke Dekho Gardish me Jaam hai’n Jamghat hai mast O maikasho ka “URS Agaya”Sakhavat Josh par hai Aaj Amin E Basafa ki bhi Najeeb E Ba sfa bhi keh rahe hai’n “URS Agaya”

Kaif O Masti me Gada -e- Sahibul Barakaat hai’n AQAA O MAULA ka Dekho “URS Agaya”Janib E Turbat pe rookh karke “Muzammil” tum Pado Salaam - E – Ajizanaa ba Adab “URS Agaya”

0 comments:

Newer Post Older Post Home