Naib E Noor E Khuda , Aaftaab E be Misaal Iftekhaar E deen O Millat , Khawajaa E Usmaa(n) ke laal
Teri Shaan E Walaa Saltanat ka, Saani nahi Aye Sanjari Bande hai Banda Nwaaz tere , Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Tu Noor ibn E Noor Ibn e Noor E Fataami Noor ki khairaat de Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Turbat E Khuwaja ka karte hai Malayiik bhi Tawaaf Hai tujhe hasil ye Rutba Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Sabka thukraya hua , dar pe tumhare agaya Tufail E panjatan jholi bharo Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Jaari hai do jaha(n) me Darya tumhaare Faiz ka Hum par bhi ho judo Karam Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Mohiuddin ka sadqa Moinuddin ki Chokhat Hum Quadri mangte hai tere Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Bad Deeniyo ke daur me ek tere hote hue Mehfooz hai mera Aqida Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Kaha Se vo Zuban laoo, jo Zikr tera kar sake Rakhlo “ Muzammil” ka bharam Khawajaa Usmaa(n) ke laal
Labels: Manqabat
0 comments:
Post a Comment